Tu Kyun Rota Hai
(The poem comes
when Farhan is heartbroken after meeting his estranged dad)
Jab jab dard ka baadal chaya
Jab ghum ka saya lehraya
Jab aansoo palkon tak aya
Jab yeh tanha dil ghabraya
Humne dil ko yeh samjhaya
Dil aakhir tu kyun rota hai
Duniya mein yunhi hota hai
Yeh jo gehre sannaate hain
Waqt ne sabko hi baante hain
Thoda ghum hai sabka qissa
Thodi dhoop hai sabka hissa
Aankh teri bekaar hi namm hai
Har pal ek naya mausam hai
Kyun tu aise pal khota hai
Dil aakhir tu kyun rota hai
Pighle Neelam Sa
(The poem comes
after the trio’s deep-sea dive)
Pighle neelam sa behta ye sama,
neeli neeli si khamoshiyan,
na kahin hai zameen na kahin aasmaan,
sarsaraati hui tehniyaan pattiyaan,
keh raheen hai bas ek tum ho yahan,
bas main hoon, meri saansein hain aur meri dhadkanein,
aisi gehraiyaan, aisi tanhaiyaan, aur main... sirf main.
Apne hone par mujhko yakeen aa gaya.
Ek Baat
(comes when their journey with Laila comes
to an end and depicts the feelings of Arjun's heart)
Ek baat honthon tak hai jo aai nahin
bus aankhon se hai jhaankti
tumse kabhi mujhse kabhi
kuch lafz hai wo maangti
jinko pahan ke honthon tak aa jaye wo
aawaz ki baahon mein baahein daal ke ithlaye wo
lekin ye jo ek baat hai
ehsaas hi ehsaas hai
khushboo si hai jaise hawa mein tairti
khushboo jo be-aawaz hai
jiska pata tumko bhi hai jiski khabar mujhko bhi hai
duniya se bhi chhupta nahin
ye jaane kaisa raaz hai
Zinda Ho Tum
(The poem comes
in the climax)
Dilon mein tum apni betaabiyan leke chal rahe ho, toh zinda ho tum
Nazar mein khwaabon ki bijliyan leke chal rahe ho, toh zinda ho tum
Hawa ke jhokon ke jaise aazad rehna seekho
Tum ek dariya ke jaise lehron mein behna seekho
Har ek lamhe se tum milo khole apni baahein
Har ek pal ek naya samaa dekhiye
Jo apni aankhon mein hayraniyan leke chal rahe ho, toh zinda ho tum
Dilon mein tum apni betaabiyan leke chal rahe ho, toh zinda ho tum
No comments:
Post a Comment